yaad hai shaadii me;N bhii hangaamah-e
yaa rab mujhe
sub;hah-e zaahid hu))aa hai ;xandah zer-e lab mujhe
hai kushaad-e ;xaa:tir-e vaa-bastah dar
rahn-e su;xan
thaa :tilism-e qufl-e abjad ;xaanah-e maktab mujhe
yaa rab is aashuftagii kii daad kis
se chaahiye
rashk aasaa))ish pah hai zindaaniyo;N kii ab mujhe
:tab((a hai mushtaaq-e la;z;zat'haa-e
;hasrat kyaa karuu;N
aarzuu se hai shikast-e aarzuu ma:tlab mujhe
dil lagaa kar aap bhii ;Gaalib mujhii
se ho gaye
((ishq se aate the maana(( miirzaa .saa;hab mujhe
.sub;h naa-paidaa hai kulfat-;xaanah-e idbaar me;N
to;Rnaa hotaa hai rang-e yak nafas har shab mujhe