ghazal |
muvaa mai;N sijde me;N par naqsh meraa baar rahaa
us aastaa;N pah mirii ;xaak se ;Gubaar rahaa
junuu;N me;N ab ke mujhe apne dil kaa ;Gam hai pah ;haif
;xabar lii jab kih nah jaame me;N ek taar rahaa
bashar hai vuh pah khulaa jab se us kaa daam-e zulf
sar-e rah us ke farishte hii kaa shikaar rahaa
kabhuu nah aa;Nkho;N me;N aayaa vuh sho;x ;xvaab kii :tar;h
tamaam ((umr hame;N us kaa inti:zaar rahaa
sharaab-e ((aish muyassar hu))ii jise ik shab
phir us ko roz-e qiyaamat talak ;xumaar rahaa
butaa;N ke ((ishq ne be-i;xtiyaar kar ;Daalaa
vuh dil kih jis kaa ;xudaa))ii me;N i;xtiyaar rahaa
vuh dil kih shaam-o-sa;har jaise pakkaa pho;Raa thaa
vuh dil kih jis se hameshah jigar figaar rahaa
tamaam ((umr ga))ii us pah haath rakhte hame;N
vuh dard-naak ((alii al-ra;Gm be-qaraar rahaa
sitam me;N ;Gam me;N sar-anjaam us kaa kyaa kiije
hazaaro;N ;hasrate;N thii;N tis pah jii ko maar rahaa
bahaa to ;xuun ho aa;Nkho;N kii raah bah niklaa
rahaa jo siinah-e sozaa;N me;N daa;G-daar rahaa
so us ko ham se faraamosh-kaar yuu;N le ga))e
kih us se qa:trah-e ;xuu;N bhii nah yaad-gaar rahaa
galii me;N us kii gayaa so gayaa nah bolaa phir
mai;N miir miir kar us ko bahut pukaar rahaa
Translations