ghazal |
sa;har-gah ((iid me;N daur-e sabuu thaa
par apne jaam me;N tujh bin lahuu thaa
;Gala:t thaa aap se ;Gaafil gu;zarnaa
nah samjhe ham kih us qaalib me;N tuu thaa
chaman kii va.z((a ne ham ko kiyaa daa;G
kih har ;Gunchah dil-e pur-aarzuu thaa
gul-o-aa))iinah kyaa ;xvurshiid-o-mah kyaa
jidhar dekhaa tidhar teraa hii ruu thaa
karoge yaad baate;N to kahoge
kih ko))ii raftah-e bisyaar-guu thaa
jahaa;N pur hai fasaane se hamaare
dimaa;G-e ((ishq ham ko bhii kabhuu thaa
magar diivaanah thaa gul bhii kisuu kaa
kih pairaahan me;N sau jaagah rafuu thaa
kahii;N kyaa baal tere khul ga))e the
kih jho;Nkaa baa))o kaa kuchh mashk-buu thaa
nah dekhaa miir-e aavaarah ko lekin
;Gubaar ik naa-tavaa;N saa kuu bah kuu thaa