ghazal |
gul kii jafaa bhii jaanii dekhii vafaa-e bulbul
yak musht par pa;Re hai;N gulshan me;N jaa-e bulbul
kar sair ja;zb-e ulfat gul-chii;N ne kal chaman me;N
to;Raa thaa shaa;x-e gul ko niklii .sadaa-e bulbul
kha;Tke hai;N ;xaar ho kar har shab dil-e chaman me;N
itne lab-o-dahan par yih naalah'haa-e bulbul
yak-rangiyo;N kii raahe;N :tai kar ke mar gayaa hai
gul me;N rage;N nahii;N yih hai;N naqsh-e paa-e bulbul
aa))ii bahaar-o-gulshan gul se bharaa hai lekin
har goshah-e chaman me;N ;xaalii hai jaa-e bulbul
pai;Gaam-e be-;Gara.z bhii sunte nahii;N hai;N ;xuubaa;N
pahu;Nchii nah gosh-e gul tak aa;xir du((aa-e bulbul
yih dil-;xaraash naale har shab ke miir tere
kar de;Nge be-namak hii shor-e navaa-e bulbul
Translations