ghazal |
![]() |
ʿajz-o-niyāz apnā apnī t̤araf hai sārā
is musht-e ḳhāk ko ham masjūd jānte haiñ
ṣūrat-pażīr ham bin hargiz nahīñ ve maʿnī
ahl-e naz̤ar hamīñ ko maʿbūd jānte haiñ
ʿishq un kī ʿaql ko hai jo mā-sivā hamāre
nā-chīz jānte haiñ nā-būd jānte haiñ
apnī hī sair karne ham jalvah-gar huʾe the
is ramz ko valekin maʿdūd jānte haiñ
yā rab kase hai nāqah har ġhunchah is chaman kā
rāh-e vafā ko ham to masdūd jānte haiñ
yih z̤ulm-e be-nihāyat dushvār-tar kih ḳhūbāñ
bad-vaẓʿayoñ ko apnī maḥmūd jānte haiñ
kyā jāne dāb-e ṣuḥbat az-ḳhvesh-raftagāñ kā
majlis meñ shaiḳh ṣāḥib kuchh kūd jānte haiñ
mar kar bhī hāth āve to mīr muft hai vuh
jī ke ziyān ko bhī ham sūd jānte haiñ
Translations