ghazal |
:zulm hu))e hai;N kyaa kyaa ham par .sabr kiyaa hai kyaa kyaa ham
aan lage hai;N gor kinaare us kii galii me;N jaa jaa ham
haa haa hii hii kar ;Taalegaa us kaa ;Guruur do-chandaa;N hai
ghighyaane kaa ab kyaa ;haa.sil yuu;N hii kare hai;N haa haa ham
ab ;hairat hai kis kis jaagah punbah-o-marham rakhne kii
qad to kiyaa hai sarv-e chiraa;Gaa;N daa;G badan par khaa khaa ham
sair-e ;xayaal junuu;N kaa kariye .sarf kare;N taa ham par sab
patthar aap galii-kuucho;N me;N ;Dher kiye hai;N laa laa ham
miir faqiir hu))e to ik din kyaa kahte hai;N be;Te se
((umr rahii hai tho;Rii use ab kyuu;N kar kaa;Te;N baabaa ham