chaak kii ;xvaahish agar va;hshat bah
((uryaanii kare
.sub;h ke maanind za;xm-e dil garebaanii kare
jalve kaa tere vuh ((aalam hai kih gar
kiije ;xayaal
diidah-e dil ko ziyaarat-gaah-e ;hairaanii kare
hai shikastan se bhii dil naumiid yaa
rab kab talak
aab-giinah koh par ((ar.z-e giraa;N-jaanii kare
mai-kadah gar chashm-e mast-e naaz se
paave shikast
muu-e shiishah diidah-e saa;Gar kii mizhgaanii kare
;xa:t:t-e ((aari.z se likhaa hai zulf
ko ulfat ne ((ahd
yak-qalam man:zuur hai jo kuchh pareshaanii kare
haath par gar haath maare yaar vaqt-e qahqahah
kirmak-e shab-taab aasaa mah par-afshaanii kare
vaqt us uftaadah kaa ;xvush jo qanaa((at se asad
naqsh-e paa-e mor ko ta;xt-e sulaimaanii kare