ghazal |
gul mun((akis hu))e hai;N bahut aab-juu ke biich
jaa-e sharaab paanii bhare;Nge sabuu ke biich
suthraa))o kar diyaa hai tamannaa-e va.sl ne
kyaa kyaa ((aziiz mar ga))e is aarzuu ke biich
ba;h;s aa pa;Re jo lab se tumhaare to chup raho
kuchh bolnaa nahii;N tumhe;N is guft-guu ke biich
ham hai;N qalandar aa kar agar dil se dam bhare;N
((aalam kaa aa))inah hai siyah ek huu ke biich
gul kii to buu se ;Gash nahii;N aataa kisuu ke ta))ii;N
hai farq miir phuul kii aur us kii buu ke biich