#
First verse of the ghazal
Notes
 
 
{351}
yūñ hī ḥairān-o-jafā jūñ ġhunchah-e taṣvīr hūñ
ʿumr gużrī par nah jānā maiñ kih kyūñ dil-gīr hūñ

9 v; M10
*{352}
kahe hai kohkan kar fikr merī ḳhastah-ḥālī meñ
ilâhī shukr kartā hūñ tirī dargāh-e ʿālī meñ

9 v; M20; 1, 2, 7, 8, 9; on v.3 see {1039,1}
{353}
āh aur ashk hī sadā hai yāñ
roz barsāt kī havā hai yāñ

13 v; M12
*{354}
jahāñ ab ḳhār-zāreñ ho gaʾī haiñ
yihīñ āge bahāreñ ho gaʾī haiñ

5 v; M21; 1, 3, 4
{355}
ḳhvush nah āʾī tumhārī chāl hameñ
yūñ nah karnā thā pāʾimāl hameñ

11 v; M12
{356}
nah kyūñkih shaiḳh tavakkul ko iḳhtiyār kareñ
zamānah hove masāʿid to rozgār kareñ

9 v; M25; on v.7 see {297,1}
{357}
yih ġhalat̤ kih maiñ piyā hūñ qadaḥ-e sharāb tujh bin
nah gale se mere utrā kabhū qat̤rah āb tujh bin

8 v; M27
{358}
taklīf-e bāġh kin ne kī tujh ḳhvush-dahāñ ke taʾīñ
detā hai āg rang tirā gulsitāñ ke taʾīñ

9 v; M5; on v.1 see {321,6}
{359}
mūʾe sahte sahte jafā-kāriyāñ
koʾī ham se sīkhe vafā-kāriyāñ

9 v; M23
{360}
din nahīñ rāt nahīñ ṣubḥ nahīñ shām nahīñ
vaqt milne kā magar dāḳhil-e ayyām nahīñ

5 v; M13
{361}
kyā z̤ulm kyā taʿaddī kyā jaur kyā jafāʾeñ
is charḳh ne kiyāñ haiñ ham se bahut adāʾeñ
9 v; M4; on v.4 see {1252,4}; on v.8 see {292,7}
{362}
ārzūʾeñ hazār rakhte haiñ
to bhī ham dil ko mār rakhte haiñ

7 v; M12
{363}
gużar jān se aur ḍar kuchh nahīñ
rah-e ʿishq meñ phir ḳhat̤ar kuchh nahīñ

8 v; M23
{364}
nālah-e qaid-e qafas se chūṭ ab ik dam nahīñ
gosh-e gul se lagte the jā ke so vuh mausam nahīñ

3 v; M10; on v.1 see {256,1}
*{365}
tirī abrū-o-teġh-e tez to hamdam haiñ yih donoñ
huʾe haiñ dil jigar bhī sāmne rustam haiñ yih donoñ
9 v; M20; 9
*{366}
lab tire laʿl-e nāb haiñ donoñ
par tamāmī ʿitāb haiñ donoñ

10 v; M12; 1, 4, 8; on v.3 see {777,1}; on v.10 see {60,6}; on a verse in this 'pattern' wrongly ascribed by Hali to Mir see {256,1}
{367}
mujh ko mārā bhalā kiyā tū neñ
par vafā kā burā kiyā tū neñ

6 v; M12
{368}
hameshah dil meñ kahtā hūñ yahāñ jāʾūñ vahāñ jāʾūñ
tire ġham ko akelā chhoṛ kar pyāre kahāñ jāʾūñ

4 v; M20
{369}
ʿishq karne ko jigar chāhiye āsān nahīñ
sab ko daʿvâ hai vale ek meñ yih jān nahīñ

7 v; M13
{370}
tirī zulf-e siyah kī yād meñ āñsū jhamakte haiñ
andherī rāt hai barsāt hai jugnū chamakte haiñ

1 v; M20
*{371}
firdaus se kuchh us kī galī meñ kamī nahīñ
par sākinoñ meñ vāñ ke koʾī ādamī nahīñ
1 v; M5; 1
{372}
nah sunegā fuġhāñ mirī phir to
maiñ tire kān khol rakhtā hūñ

1 v; M12
{373}
jo tire lab se kām rakhte haiñ
yamani ko vuh nām rakhte haiñ
1 v; M12
{374}
kar naz̤ar ik daur se mujh dāġh meñ
āñkheñ nīchī kar gayā gul bāġh meñ

1 v; M11
*{375}
kīsah pur-zar ho to jafā-jūyāñ
tum se kitne hamārī jeb meñ haiñ

1 v; M12; 1
 

 
-- urdu script -- devanagari -- diacritics -- plain roman -- more information --