ghazal |
raftagaa;N me;N jahaa;N ke ham bhii hai;N
saath us kaaravaa;N ke ham bhii hai;N
sham((a hii sar nah de ga))ii bar-baad
kushtah apnii zabaa;N ke ham bhii hai;N
ham ko majnuu;N ko ((ishq me;N mat buujh
nang us ;xaandaa;N ke ham bhii hai;N
jis chaman-zaar kaa hai tuu gul-e tar
bulbul us gulsitaa;N ke ham bhii hai;N
nahii;N majnuu;N se dil qavii lekin
yaar us naa-tavaa;N ke ham bhii hai;N
bosah mat de kisuu ke dar pah nasiim
;xaak us aastaa;N ke ham bhii hai;N
go shab us dar se duur pahro;N phire;N
paas to paasbaa;N ke ham bhii hai;N
vaj'h-e be-gaanagii nahii;N ma((luum
tum jahaa;N ke ho vaa;N ke ham bhii hai;N
mar ga))e mar ga))e nahii;N to nahii;N
;xaak se mu;Nh ko ;Dhaa;Nke ham bhii hai;N
apnaa shevah nahii;N kajii yuu;N to
yaar-jii ;Te;Rhe baa;Nke ham bhii hai;N
us sare kii hai paarsaa))ii miir
mu((taqid us javaa;N ke ham bhii hai;N