#
First verse of the ghazal
Notes
 
 
{1276}
yūñ junūñ karte jo ham yāñ se gaʾe
to miyāñ majnūñ bayābāñ se gaʾe

5 v; M11
{1277}
ay nau-ḳhat̤ ek din hai jhagṛā hamāre tere
sabzī bahut lagī hai muñh se piyāre tere
5 v; M4
*{1278}
vuh dīdah-e tar apne jo yār ko haiñ takte
ik ek ko nahīñ phir ġhairat se dekh sakte

9 v; M4; 6; on v.7 see {1533,4}; on v.8 see {1098,3}; on v.8 see {1598,1}; on v.9 see {518,3}
{1279}
ġham-e marg se dil jigar resh hai
ʿajab marḥalah ham ko dar-pesh hai

5 v; M23
{1280}
gosh har yak kā usī kī or hai
kyā qiyāmat kā qiyāmat shor hai

5 v; M11
{1281}
shab agar dil ḳhvāḥ apne be-qarārī kījiye
le zamīñ se tā falak faryād-o-zārī kījiye

9 v; M10
{1282}
ṣad gūnah ʿāshiqī meñ ham ne jafā sahī hai
par yih kahā nah z̤ālim us kī nahīñ sahī hai

9 v; M4
*{1283}
kal josh-e ġham meñ āñsū ṭapke nah chashm-e tar se
afsos hai kih ā kar yūñ meñh ṭuk nah barse

9 v; M4; 3; on v.6 see {482,3}
{1284}
barq-o-sharār-o-shuʿlah-o-parvānah sab haiñ ye
jūñ ham jalā kareñ haiñ bhalā jalte kab haiñ ye

7 v; M5
{1285}
ḳhvush t̤arḥ makāñ dil ke ḍhāne meñ shitābī kī
us ʿishq-o-muḥabbat ne kyā ḳhānah-ḳharābī kī

5 v; M6; on v.5 see {297,1}
{1286}
koʾī sāḥir us ko kuchh jādū kare
vuh jo be-rū us t̤araf ṭuk rū kare

7 v; M11
{1287}
ḥadīṡ-e zulf-e darāz us ke muñh kī bāt baṛī
kabhū ke din meñ baṛe yāñ kabhū kī rāt baṛī

3 v; M25
{1288}
hai tamāshā ḥusn-o- ḳhat̤ ḥairat bhī hai
yaʿnī ḳhat̤ to ḳhūb hai ṣūrat bhī hai

7 v; M11
*{1289}
chale ham agar tum ko ikrāh hai
faqīroñ kī allâh allâh hai

9 v; M23; 5; on v.2 see {1341,5}
{1290}
yār kā jaur-o-sitam kām hī kar jātā hai
kitnā jī ʿāshiq-e be-tāb kā mar jātā hai

9 v; M13
{1291}
ṭhokar lagā ke chalnā us rashk-e māh ko bhī
yih choṭ hī rahī hai us rū-siyāh ko bhī

9 v; M4; on v.7 see {267,3}
{1292}
sunā jātā hai ai ghatye tire majlis-nishīnoñ se
kih tū dārū piye hai rāt ko mil kar kamīnoñ se

9 v; M20; on v.1 see {611,1}; on v.1 see {1161,2}; on v.1 see {1193,5}; on v.1 see {1496,4}; on v.1 see {1785,2}; on v.7 see {1460,3}
{1293}
be-taabii jo dil har gha;Rii i:zhaar kare hai
ab dekhuu;N mujhe kis kaa giriftar kare hai

9 v; M7; on v.8 see {429,2}
{1294}
dushmanoñ ke rūbarū dushnām hai
yih bhī koʾī lut̤f-e be-hangām hai

7 v; M11; on v.1 see {1496,4}
{1295}
dil ʿajab nusḳhah-e taṣavvuf hai
ham nah samjhe baṛā taʾassuf hai

6 v; M12
*{1296}
taskīn dard-mandoñ ko yā rab shitāb de
dil ko hamāre chain de āñkhoñ ko ḳhvāb de

7 v; M5; 1, 2, 7
*{1297}
nah jurʾat hai nah jażbah hai nah yārī baḳht-e bad se hai
yihī be-t̤āqatī ḳhūñ-gashtah dil ko mere kad se hai

5 v; M20; 2
{1298}
kaṭ kar gireñge rāh meñ mushtāq ʿalaf se
maṭh-bheṛ agar ho gaʾī us teġh ba-kaf se

7 v; M7
{1299}
kaho kuchh mīr kī vaḥshat se un galyoñ meñ āne kī
ḳhabar kyūñ pūchhte haiñ mujh se laṛke us divāne kī

8 v; M20; on v.5 see {37,3}; on v.5 see {254,8}
{1300}
ʿazīzo kaun sī ṣūrat hai z̤āhir us ke āne kī
qasam khāʾī ho jis ne ḳhvāb meñ bhī muñh dikhāne kī

10 v; M20
 

 
-- urdu script -- devanagari -- diacritics -- plain roman -- more information --