#
First verse of the ghazal
Notes
 
 
*{826}
kyā kahye kyā rakheñ haiñ ham tujh se yār ḳhvāhish
yak jān-o-ṣad tamannā yak dil hazār ḳhvāhish
10 v; M4; 7
{827}
mut̤laq nahīñ hai īdhar us dil-rubā kī ḳhvāhish
kyā jāniye kih kyā hai yāro ḳhudā kī ḳhvāhish

7 v; M4; on v.4 see {1056,6}
{828}
ham par ravā jo rakhte ho jor-o-jafā hamesh
ḳhūbī rahā kare hai mirī jān kyā hamesh
7 v; M5

2 == dīvān-e duvvum ==

{829}
ʿishq kī rah nah chal ḳhabar hai shart̤
avval-e gām tark-e sar hai shart̤
7 v; M12
{830}
karte nahīñ haiñ us se nayā kuchh ham iḳhtilāt̤
hotā thā agle logoñ meñ bhī bā-ham iḳhtilāt̤
5 v; M5
 
2 == dīvān-e duvvum == ʿ

{831}
tere hote shām ko gar bazm meñ ā jāʾe shamʿa
ho ḳhajal aisī kih muñh apnā nah phir dikhlāʾe shamʿa

5 v; M10
{832}
us ke hote bazm meñ fānūs meñ ātī hai shamʿa
yaʿnī us ātish ke parkāle se sharmātī hai shamʿa

5 v; M10
{833}
ʿishq meñ kuchh nahīñ davā se nafʿa
kaṛhye kab tak nah ho balā se nafʿa

5 v; M12
 
2 == dīvān-e duvvum == ġh

{834}
ab us ke ġham se jo koʾī chāhe so khāʾe dāġh
bāqī nahīñ hai chhatī meñ apnī to jā-e dāġh

7 v; M5; on v.3 see {1650,3}; the rhyme is āʾe
 
2 == dīvān-e duvvum == f

{835}
mīlān-e dil hai zulf-e siyah-fām kī t̤araf
jātā hai ṣaid āp se us dām kī t̤araf

9 v; M5
 
2 == dīvān-e duvvum == q

{836}
ay rashk-e barq tujh se mushkil hai kār-e ʿāshiq
ik jhamke meñ kahāñ phir ṣabr-o-qarār-e ʿāshiq

10 v; M4
*{837}
kyā kahūñ tum se maiñ kih kyā hai ʿishq
jān kā rog hai balā hai ʿishq

9 v; M12; 1, 2, 3, 4, 6; trans.
 
2 == dīvān-e duvvum == k

{838}
dekhī thī tere kān ke motī kī ik jhalak
jātī nahīñ hai ashk kī ruḳhsār ke ḍhalak
5 v; M5
{839}
ʿizzat apnī ab nahīñ hai yār ko manz̤ūr ṭuk
pās jātā hūñ to kahtā hai kih baiṭho dūr ṭuk

7 v; M10; on v.4 see {490,2}
{840}
ḥālāñkih kām pahuñch gayā kab kā jāñ talak
ātī nahīñ hai to bhī shikāyat zabāñ talak

7 v; M5; on v.5 see {256,1}; on v.6 see {37,3}; on v.6 see {254,8}
{841}
ham bekasoñ kā kaun hai hijrāñ meñ ġham-sharīk
tanhāʾī ek hai so hai us ke sitam-sharīk

5 v; M5
{842}
chale hai bāġh kī ṣabā kyā ḳhāk
dil-jalā koʾī ho gayā kyā ḳhāk
7 v; M12; on v.5 see {421,2}
{843}
āj kal se kuchh nah t̤ūfāñ-zā hai chashm-e giryah-nāk
mauj-zan barsoñ se hai daryā hai chashm-e giryah-nāk

7 v; M10
*{844}
sau ḳhūñ-chakāñ gale haiñ lab se mirī zabāñ tak
jī ruñdh gayā hai z̤ālim ab raḥm kar kahāñ tak

10 v; M4; 6, 9; on v.4 see {1160,4}
{845}
liyā chīrah-dastī se gar mīr sar tak
nah pahuñchā kabhū hāth us kī kamar tak

7 v; M22
 
2 == dīvān-e duvvum == g

{846}
ġhāfil haiñ aise sote haiñ goyā jahāñ ke log
ḥālāñkih raftanī haiñ sab us kāravāñ ke log

11 v; M5; on v.8 see {7,15}
*{847}
kyā ʿishq-e ḳhānah-soz ke dil meñ chhupī hai āg
ik sāre tan badan meñ mire phuk rahī hai āg

11 v; M5; 1, 4, 9, 11; trans.; on this ghazal see {1589,1}
{848}
hai āg kā sā nālah-e kāhish-fizā kā rang
kuchh aur ṣubḥ dam se huʾā hai havā kā rang
10 v; M5; on this ghazal see {1589,1}; on v.1 see {1882,5}
{849}
rah-e marg se kyūñ ḍarāte haiñ log
bahut us t̤araf ko to jāte haiñ log

7 v; M23; on v.3 see {43,2}
 
2 == dīvān-e duvvum == l

{850}
mār bhī āsān hai dushnām sahl
yār agar hai ahl to hai kām sahl

5 v; M11


 

-- urdu script -- devanagari -- diacritics -- plain roman -- more information --