#
First verse of the ghazal
Notes
 
 
*{1526}
kyā kyā ham ne ranj uṭhāʾe kyā kyā ham bhī shikebā the
do din jūñ tūñ jīte rahe so marne hī ke muhyā the

5 v; M01; 1, 2, 4; on v.5 see {1526,4}
{1527}
ranj kī us ke jo ḳhabar gużre
raftah vāraftah us kā mar gużre

7 v; M12
{1528}
jab se āñkheñ khulī haiñ apnī dard-o-ranj-o-ġham dekhe
un hī dīdah-e ġham-dīdoñ se kyā kyā ham ne sitam dekhe

5 v; M01; on v.3 see {1201,2}
{1529}
ḳhvāhish-e dil se jī kī tāb gaʾī
āñkheñ us se lagīñ so ḳhvāb gaʾī

5 v; M12; on v.4 see {17,3}
{1530}
yā rab us kā sitam sahā bhī jāʾe
panjah ḳhvurshīd kā gahā bhī jāʾe

5 v; M12
{1531}
ab tark kar libās tavakkul hī kar rahe
jab se kulāh sar pah rakhī dar bah dar rahe

8 v; M5; on v.7 see {892,3}
{1532}
phir ab chalo chaman meñ khile ġhunche ruk gaʾe
shāḳhoñ samet phūl nihāloñ ke jhuk gaʾe

3 v; M5; on v.3 see {1507,5}
*{1533}
āj hameñ betābī sī hai ṣabr kī dil se ruḳhṣat thī
chāroñ or nigah karne meñ ʿālam ʿālam ḥasrat thī

7 v; M01; 1, 4, 5
5 == dīvān-e panjum == ā
{1534}
dil raftah-e jamāl hai us żū ul-jalāl kā
mustajmiʿ-e jamīʿ-e ṣifāt-o-kamāl kā
5 v; M5
{1535}
hai ḥarf-e ḳhāmah dil-zadah ḥusn-e qabūl kā
yaʿnī ḳhayāl sar meñ hai naʿt-e rasūl kā
7 v; M5; on v.5 see {344,5}
*{1536}
ʿishq to bin rusvā-e ʿālam bāʿiṡ hai rusvāʾī kā
mail-e dilī us ḳhvud-sar se hai jo pāyā hai ḳhudāʾī kā

7 v; M01; 5; on v.1 see {1526,2}
*{1537}
dūr bahut thā go ho ham se sīkhe t̤arīq ġhazāloñ kā
vaḥshat karnā shevah hai kyā achchhī āñkhoñ vāloñ kā

6 v; M01; 1, 4, 5
{1538}
agar hañstā use sair-e chaman meñ ab ke pāʾūñgā
to bulbul āshiyāñ terā hī maiñ phūloñ se chhāʾūñgā

7 v; M20
{1539}
rusvā-e shahr hai yāñ ḥarf-o-suḳhan hamārā
kyā ḳhāk meñ milā hai afsos fan hamārā

5 v; M4
{1540}
muñh apnā kabhū vuh idhar kar rahegā
hameñ ʿishq hai to aṡar kar rahegā

5 v; M22
{1541}
suḳhan-mushtāq hai ʿālam hamārā
ġhanīmat hai jahāñ meñ dam hamārā

5 v; M21
*{1542}
kyā pūchho ho kyā kahye myāñ dil ne bhī kyā kām kiyā
ʿishq kiyā nā-kām rahā āḳhir ko kām tamām kiyā

9 v; M01; 5
{1543}
ʿishq ho ḥevān kā yā uns ho insān kā
lāg jī kī jis se ho dushman hai apnī jān kā

9 v; M10; on v.5 see {544,9}; on v.6 see the Project page; on v.6 see SRF's article; on v.8 see {1278,6}
{1544}
ʿishq hamāre ḳhayāl paṛā hai ḳhvāb gaʾī ārām gayā
jī kā jānā ṭhahr rahā hai ṣubḥ gayā yā shām gayā

8 v; M01
*{1545}
t̤auf-e mashhad ko kal jo jāʾūñgā
teġh-e qātil ko sar chaṛhāʾūñgā

5 v; M12; 2
{1546}
har jā phirā ġhubār hamārā uṛā huʾā
terī galī meñ lāʾī ṣabā to bajā huʾā

3 v; M5
{1547}
pahlū se uṭh gayā hai vuh nāzanīñ hamārā
juz dard ab nahīñ hai pahlū-nishīñ hamārā

9 v; M4; on v.9 see {1460,6}
*{1548}
āj hamārā dil taṛphe hai koʾī udhar se āvegā
yā kih navishtah un hāthoñ kā qāṣid ham tak lāvegā

9 v; M01; 1, 8, 9
{1549}
shaiḳh ḥaram se laṛ ke chalā hūñ ab kaʿbe meñ nah āʾūñgā
tā but-ḳhānah har qadam ūpar sijdah kartā jāʾūñgā

6 v; M01
{1550}
kaisī saʿī-e ḥavādiṡ ne kī āḳhir-kār halāk kiyā
kyā kyā charḳh ne chakkar māre pīs ke muñh ko ḳhāk kiyā

5 v; M01; on v.4 see {1794,4}
 

 
-- urdu script -- devanagari -- diacritics -- plain roman -- more information --