|
{049} phir hu))aa vaqt
kih ho baal-kushaa mauj-e sharaab
de ba:t-e mai ko dil-o-dast-e shinaa mauj-e sharaab
{050} afsos kih dandaa;N
kaa kiyaa rizq falak ne
jin logo;N kii thii dar;xvur-e ((aqd-e guhar angusht
{051} rahaa gar ko))ii
taa qiyaamat salaamat
phir ik roz marnaa hai ;ha.zrat salaamat
{052} mu;Nd ga))ii;N kholte
hii kholte aa;Nkhe;N ;Gaalib
yaar laa))e mirii baalii;N pah use par kis vaqt
{053} aamad-e ;xa:t se
hu))aa hai sard jo baazaar-e dost
duud-e sham((a-e kushtah thaa shaayad ;xa:t-e ru;xsaar-e dost
{054} gulshan me;N band-o-bast
bah rang-e digar hai aaj
qumrii kaa :tauq ;halqah-e beruun-e dar hai aaj
{055} lo ham marii.z-e
((ishq ke biimaar-daar hai;N
achchhaa agar nah ho to masii;haa kaa kyaa ((ilaaj
{056} nafas nah anjuman-e
aarzuu se baahar khe;Nch
agar sharaab nahii;N inti:zaar-e saa;Gar khe;Nch
{057} ;husn ;Gamze kii
kashaakash se chhu;Taa mere ba((d
baare aaraam se hai;N ahl-e jafaa mere ba((d
{058} balaa se hai;N jo
bah pesh-e na:zar dar-o-diivaar
nigaah-e shauq ko hai;N baal-o-par dar-o-diivaar
{059} ghar jab banaa liyaa
tire dar par kahe ba;Gair
jaanegaa ab bhii tuu nah miraa ghar kahe ba;Gair
{060} kyuu;N jal gayaa
nah taab-e ru;x-e yaar dekh kar
jaltaa huu;N apnii :taaqat-e diidaar dekh kar
{061} laraztaa hai miraa
dil za;hmat-e mihr-e dara;xshaa;N par
mai;N huu;N vuh qa:trah-e shabnam kih ho ;xaar-e bayaabaa;N par
{062} hai baskih har ik
un ke ishaare me;N nishaa;N aur
karte hai;N mu;habbat to guzartaa hai gumaa;N aur
{063} .safaa-e ;hairat-e
aa))iinah hai saamaan-e zang aa;xir
ta;Gayyur aab-e bar-jaa-maa;Ndah kaa paataa hai rang aa;xir
{064} junuu;N kii dast-giirii
kis se ho gar ho nah ((uryaanii
garebaa;N-chaak kaa ;haq ho gayaa hai meri gardan par
{065} sitam-kash ma.sli;hat
se huu;N kih ;xuubaa;N tujh par ((aashiq hai;N
takalluf bar-:taraf mil jaa))egaa tujh-saa raqiib aa;xir
{066} laazim thaa kih dekho
miraa rastaa ko))ii din aur
tanhaa ga))e kyuu;N ab raho tanhaa ko))ii din aur
{067} faari;G mujhe nah
jaan kih maanind-e .sub;h-o-mihr
hai daa;G-e ((ishq ziinat-e jeb-e kafan hanuuz
{068} ;hariif-e ma:tlab-e
mushkil nahii;N fusuun-e niyaaz
du((aa qabuul ho yaa rab kih ((umr-e ;xizr daraaz
{069} vus((at-a sa((ii-e
karam dekh kih sar-taa-sar-e ;xaak
guzre hai aabilah-paa abr-e guhar-baar hanuuz
{070} kyuu;Nkar us but
se rakhuu;N jaan ((aziiz
kyaa nahii;N hai mujhe iimaan ((aziiz
{071} nah gul-e na;Gmah
huu;N nah pardah-e saaz
mai;N huu;N apnii shikast kii aavaaz
{072} muzhdah ai ;zauq-e
asiirii kih na:zar aataa hai
daam-e ;xaalii qafas-e mur;G-e giriftaar ke paas
{073} nah leve gar ;xas-e
jauhar :taraavat sabzah-e ;xa:t se
lagaave ;xaanah-e aa))iinah me;N ruu-e nigaar aatish
{074} jaadah-e rah ;xvur
ko vaqt-e shaam hai taar-e shu((aa((
char;x vaa kartaa hai maah-e nau se aa;Gosh-e vidaa((
{075} ru;x-e nigaar se
hai soz-e jaavidaanii-e sham((a
hu))ii hai aatish-e gul aab-e zindagaanii-e sham((a
{076} biim-e raqiib se
nahii;N karte vidaa((-e hosh
majbuur yaa;N talak hu))e ai i;xtiyaar ;haif
{077} za;xm par chhi;Rke;N
kahaa;N :tiflaan-e be-parvaa namak
kyaa mazah hotaa agar patthar me;N bhii hotaa namak
{078} aah ko chaahiye ik
((umr a;sar hote tak
kaun jiitaa hai tire zulf ke sar hote tak
{079} gar tujh ko hai yaqiin-e
ijaabat du((aa nah maa;Ng
ya((nii ba;Gair-e yak dil-e be-mudda((aa nah maa;Ng
{080} hai kis qadar halaak-e
fareb-e vafaa-e gul
bulbul ke kaarobaar pah hai;N ;xandah'haa-e gul
{081} ;Gam nahii;N hotaa
hai aazaado;N ko besh az yak nafas
barq se karte hai;N raushan sham((-e maatam-;xaanah ham
{082} ba-naalah ;haa.sil-e
dil-bastagii faraaham kar
ma:taa((-e ;xaanah-e zanjiir juz .sadaa ma((luum
{083} mujh ko diyaar-e
;Gair me;N maaraa va:tan se duur
rakh lii mire ;xudaa ne mirii bekasii kii sharm
CONTINUE through the traditional sequence of ghazals...
|
|